hamein lapakti hawa par sawar le aai
koi to mauj thi dariya ke par le aai
wo log jo kabhi bahar na ghar se jhankte the
ye shab unhen bhi sar-e-rahguzar le aai
ufuq se ta-ba-ufuq phailti bikharti ghaTa
gai ruton ka chamakta ghubar le aai
mata-e-wada sambhaale raho ki aaj bhi sham
wahan se ek naya intizar le aai
udas sham ki yaadon bhari sulagti hawa
hamein phir aaj purane dayar le aai
na shab se dekhi gai barg-e-aKHiri ki thakan
ki bund os se us ko utar le aai
main dekhta tha shafaq ki taraf magar titli
paron pe rakh ke ajab rang-zar le aai
bahut dinon se na soe the hum aur aaj hawa
kahin se nind ki KHushbu udhaar le aai
wo ek ada ki na pahchan pae hum 'bani'
zara si baat thi aafat hazar le aai
Ghazal
Hamein lapakti hawa par sawar le aai
Rajinder Manchanda Bani