hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga
bashar hain hum bhi sahab dekhiye nahaq ka shar hoga
na muD kar tu ne dekha aur na main taDpa na KHanjar
na dil howega tera sa na mera sa jigar hoga
main kuchh majnun nahin hun jo ki sahra ko chala jaun
tumhaare dar se sar phoDunga sauda bhi agar hoga
chaman mein lai hogi to saba-mashshatgi kar ke
jo gul se aage lipTa hai kisi bulbul ka par hoga
tari ka bhi wahi malik hai jo malik hai KHushki ka
madad-gar apna har mushkil mein shah-e-bahr-o-bar hoga
tasawwur zulf ka gar chhoD dun mizhgan ka khaTka hai
jo sar ke dard se fursat mili dard-e-jigar hoga
tabibo tum abas aae main kushta hun firangan ka
meri tadbir karne ko muqarrar doctor hoga
kisi ko koste kyun ho dua apne liye mango
tumhaara faeda kya hai jo dushman ka zarar hoga
maza aaega diwanon ki baaton mein pari-zado
jo 'agha' ka kisi din dasht-e-majnun mein guzar hoga
Ghazal
Hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga
Aagha Akbarabadi