hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
charaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jae
kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek KHub-surat sham ho jae
ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aaKHir
mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jae
samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko
hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jae
mujhe malum hai us ka Thikana phir kahan hoga
parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae
ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
Ghazal
Hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
Bashir Badr