hum unhen wo hamein bhula baiThe
do gunahgar zahr kha baiThe
haal-e-gham kah ke gham baDha baiThe
tir mare the tir kha baiThe
aandhiyo jao ab karo aaram
hum KHud apna diya bujha baiThe
ji to halka hua magar yaro
ro ke hum lutf-e-gham ganwa baiThe
be-sahaaron ka hausla hi kya
ghar mein ghabrae dar pe aa baiThe
jab se bichhDe wo muskurae na hum
sab ne chheDa to lab hila baiThe
hum rahe mubtala-e-dair-o-haram
wo dabe panw dil mein aa baiThe
uTh ke ek bewafa ne de di jaan
rah gae sare ba-wafa baiThe
hashr ka din abhi hai dur 'KHumar'
aap kyun zahidon mein ja baiThe
Ghazal
Hum unhen wo hamein bhula baiThe
Khumar Barabankavi