hum tujh se kis hawas ki falak justuju karen
dil hi nahin raha hai ki kuchh aarzu karen
miT jaen ek aan mein kasrat-numaiyan
hum aaine ke samne jab aa ke hu karen
tar-damani pe shaiKH hamari na jaiyo
daman nichoD den to farishte wuzu karen
sar-ta-qadam zaban hain jun shama go ki hum
par ye kahan majal jo kuchh guftugu karen
har-chand aaina hun par itna hun na-qubul
munh pher le wo jis ke mujhe ru-ba-ru karen
ne gul ko hai sabaat na hum ko hai e'tibar
kis baat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen
hai apni ye salah ki sab zahidan-e-shahr
ai 'dard' aa ke baiat-e-dast-e-subu karen
Ghazal
Hum tujhse kis hawas ki falak justuju karen
Khwaja Meer u0027Dardu0027