اردو हिंदी
Hum to hain hasrat-e-didar ke mare hue log | Shaahi Shayari
hum to hain hasrat-e-didar ke mare hue log

Ghazal

Hum to hain hasrat-e-didar ke mare hue log

Mirza Athar Zia

;

hum to hain hasrat-e-didar ke mare hue log
yani ek nargis-e-bimar ke mare hue log

jal gae dhup mein jo un ka shumar ek taraf
kam nahin saya-e-diwar ke mare hue log

tu ne ai waqt palaT kar bhi kabhi dekha hai
kaise hain sab teri raftar ke mare hue log

dekhte rahte hain KHud apna tamasha din raat
hum hain KHud apne hi kirdar ke mare hue log

roz hi KHalq-e-KHuda marti hai ya dobara
zinda ho jate hain aKHbar ke mare hue log

teri dahliz pe iqrar ki ummid liye
phir khaDe hain tere inkar ke mare hue log