hum to gawah hain ki ghalat tha likha gaya
kya faisla hua tha magar kya likha gaya
ye kaisi munsifi thi ki munsif ke ru-ba-ru
jhuTi shahadaton ko bhi sachcha likha gaya
maktub-e-gham hamara paDha hi nahin gaya
warna to us mein haal tha sara likha gaya
mulzim ko bhi to milta hai kuchh bolne ka haq
phir kyun nahin bayan hamara likha gaya
hum chup rahe ki faisla sara tha tai-shuda
yani jo muddai ne likhaya likha gaya
banti kisi bhi harf ki pahchan kis tarah
jo bhi likha gaya wo adhura likha gaya
bhuli nahin wo zulm ki 'shabnam' sar-e-furaat
aatish ko aab dasht ko dariya likha gaya
Ghazal
Hum to gawah hain ki ghalat tha likha gaya
Shabnam Shakeel

