hum tere ishq pe maghrur na ho jaen kahin
is qadar pas na aa dur na ho jaen kahin
hamein aaina bana le ki ye sahir aankhen
apne hi sehr se mashur na ho jaen kahin
sina tabut na ban jae kisi bulbul ka
KHushbuen bagh ki kafur na ho jaen kahin
mat hansa is qadar ai naubat-e-haalat hamein
jo faqat zaKHm hain nasur na ho jaen kahin
dhaDkanen kya hain bas ek rakh mein larzish si hai
phir wahi jalwe sar-e-tur na ho jaen kahin
jugnuon ko to biTha leti hai aankhon pe hawa
diye Darte hain ki be-nur na ho jaen kahin
zarre zarre mein to wo KHud hai makin warna hum
chhup na jaen kahin mafrur na ho jaen kahin
aazmaish mein na Dal apne labon ko mat bol
furqaten bhi hamein manzur na ho jaen kahin
hum to aashiq hain hamara to chalo kaam sahi
sajde is shahr ka dastur na ho jaen kahin
aap ke ishq mein hum ho to gae aap hi aap
aap ke nam se mashhur na ho jaen kahin
ishq ko hazrat-e-'rahil' samajhte to hain jabr
qibla-o-kaba bhi majbur na ho jaen kahin

Ghazal
Hum tere ishq pe maghrur na ho jaen kahin
Raheel Farooq