hum tera ahd-e-mohabbat Thahre
lauh-e-nisyan ki jasarat Thahre
dil lahu kar ke ye qismat Thahre
sang fankar ki ujrat Thahre
maqtal-e-jaan ki zarurat Thahre
hum ki shayan-e-mohabbat Thahre
kya qayamat hai wo qatil mujh mein
mere ehsas ki surat Thahre
waqt ke dajla-e-tufani mein
aap hum mauja-e-ujlat Thahre
dosti ye hai ki KHushbu ke liye
rang zindani-e-surat Thahre
tu hai KHurshid na main hun shabnam
kya mulaqat ki surat Thahre
uf ye guzre hue lamhon ka hujum
dar-o-diwar qayamat Thahre
kucha-gardan-e-junun misl-e-saba
zulf-e-awara ki qismat Thahre
ishq mein manzil aaram bhi thi
hum sar-e-kucha-e-wahshat Thahre
jab se 'ummid' gaya hai koi!!
lamhe sadiyon ki alamat Thahre
Ghazal
Hum tera ahd-e-mohabbat Thahre
Ummeed Fazli