hum se kya KHak ke zarron hi se puchha hota
zindagi ek tamasha hai to dekha hota
dekhte gar hamin aalam ko ba-andaz-e-digar
aur hi dasht-e-junun mein dil-e-ruswa hota
kya kiya ahl-e-mohabbat ne magar tere liye
hum ne ek sahn-e-chaman aur bhi DhunDa hota
tum bhi hote mai-o-naghma bhi dil-e-shaida bhi
aur aise mein agar abr barasta hota
hans ke ek jam pilata koi diwane ko
pyar to hota magar kahe ko sauda hota
tazkire hote rahe chaak garebanon ke
han teri bazm-e-tarab mein koi aisa hota
tishna-lab kaun hai go jam na aaya hum tak
daur ek aur chala KHun-e-jigar kya hota
KHak ne kitne bad-atwar kiye hain paida
ye na hote to usi KHak se kya kya hota
is se milna hi ghazab ho gaya warna 'anjum'
dar-ba-dar phirne ka jhagDa bhi na uTTha hota
Ghazal
Humse kya KHak ke zarron hi se puchha hota
Anjum Azmi