اردو हिंदी
Ham-safar tham to sahi dil ko sambhaalun to chalun | Shaahi Shayari
ham-safar tham to sahi dil ko sambhaalun to chalun

Ghazal

Ham-safar tham to sahi dil ko sambhaalun to chalun

Wasif Dehlvi

;

ham-safar tham to sahi dil ko sambhaalun to chalun
manzil-e-dost pe do ashk baha lun to chalun

har qadam par hain mere dil ko hazaron uljhao
daman-e-sabr ko kanTon se chhuDa lun to chalun

mujh sa kaun aaega tajdid-e-makarim ke liye
dasht-e-imkan ki zara KHak uDa lun to chalun

bas ghanimat hai ye shiraaza-e-lamhat-e-bahaar
dhum se jashn-e-KHarabaat mana lun to chalun

panw zaKHmi hue aur dur hai manzil 'wasif'
KHun-e-aslaf ki azmat ko jaga lun to chalun