hum pi gae sab hile na ab tak
ji haar gae nujum-e-shab tak
har chand ghaTaen chhaT gai hain
par dil pe ghubar sa hai ab tak
KHush ho na zamana mere gham par
aaega ye daur-e-jam sab tak
ashkon ne fasana kar diya hai
wo lafz ki aa saka na lab tak
har gham ko uDa diya hansi mein
tum pesh-e-nazar rahe ho jab tak
mai-KHane mein sar chhupaen aao
wa ho dar-e-kaba jaane kab tak
'shohrat' koi aur baat chheDo
ulTen wo naqab-e-lutf jab tak
Ghazal
Hum pi gae sab hile na ab tak
Shohrat Bukhari

