hum ne teri KHatir se dil-e-zar bhi chhoDa
tu bhi na hua yar aur ek yar bhi chhoDa
kya hoga rafugar se rafu mera gareban
ai dast-e-junun tu ne nahin tar bhi chhoDa
din de ke gaya kufr ke bhi kaam se aashiq
tasbih ke sath us ne to zunnar bhi chhoDa
goshe mein teri chashm-e-siyah-mast ke dil ne
ki jab se jagah KHana-e-KHummar bhi chhoDa
is se hai gharibon ko tasalli ki ajal ne
muflis ko jo mara to na zardar bhi chhoDa
TeDhe na ho hum se rakho iKHlas to sidha
tum pyar se rukte ho to lo pyar bhi chhoDa
kya chhoDen asiran-e-mohabbat ko wo jis ne
sadqe mein na ek murgh-e-giraftar bhi chhoDa
pahunchi meri ruswai ki kyunkar KHabar us ko
us shoKH ne to dekhna aKHbar bhi chhoDa
karta tha jo yan aane ka jhuTa kabhi iqrar
muddat se 'zafar' us ne wo iqrar bhi chhoDa
Ghazal
Humne teri KHatir se dil-e-zar bhi chhoDa
Bahadur Shah Zafar