اردو हिंदी
Humne rakkha tha jise apni kahani mein kahin | Shaahi Shayari
humne rakkha tha jise apni kahani mein kahin

Ghazal

Humne rakkha tha jise apni kahani mein kahin

Abrar Ahmad

;

hum ne rakkha tha jise apni kahani mein kahin
ab wo tahrir hai auraq-e-KHizani mein kahin

bas ye ek saat-e-hijran hai ki jati hi nahin
koi Thahra bhi hai is aalam-e-fani mein kahin

jitna saman bhi ikaTTha kiya is ghar ke liye
bhul jaenge use naql-e-makani mein kahin

KHair auron ka to kya zikr ki ab lagta hai
tu bhi shamil hai mere ranj-e-zamani mein kahin

chashm-e-namnak ko is darja haqarat se na dekh
tujh ko mil jaana hai ek din isi pani mein kahin

markaz-e-jaan to wahi tu hai magar tere siwa
log hain aur bhi is yaad purani mein kahin

jashn-e-matam bhi hai raunaq si tamashai ko
koi naghma bhi hai is marsiya-KHwani mein kahin

aaj ke din mein kisi aur hi din ki hai jhalak
sham hai aur hi is sham suhani mein kahin

kya samajh aae kisi ko mujhe malum bhi hai
baat kar jata hun main apni rawani mein kahin