اردو हिंदी
Humne dil se tujhe sada mana | Shaahi Shayari
humne dil se tujhe sada mana

Ghazal

Humne dil se tujhe sada mana

Habib Jalib

;

hum ne dil se tujhe sada mana
tu baDa tha tujhe baDa mana

'mir'-o-'ghaalib' ke baad 'anis' ke baad
tujh ko mana baDa baja mana

tu ki diwana-e-sadaqat tha
tu ne bande ko kab KHuda mana

tujh ko parwa na thi zamane ki
tu ne dil hi ka har kaha mana

tujh ko KHud pe tha e'timad itna
KHud hi ko to na rahnuma mana

ki na shab ki kabhi pazirai
subh ko laeq-e-sana mana

hans diya sath-e-zehn-e-alam par
jab kisi baat ka bura mana

yun to shair the aur bhi ai 'josh'
hum ne tujh sa na dusra mana