hum KHud bhi hue nadim jab harf-e-dua nikla
samjhe the jise patthar wo shaKHs KHuda nikla
is dasht se ho kar bhi ek sail-e-ana nikla
kuchh barg-e-shajar TuTe kuchh zor-e-hawa nikla
uljhan ka sulajh jaana ek KHam-KHayali thi
jab ghaur kiya hum ne ek pech naya nikla
ai fitrat-e-sad mani 'ghaalib' ki ghazal hai tu
jab husn tera parkha pahle se sawa nikla
hum pas bhi jaane se jis shaKHs ke Darte the
chhu kar jo use dekha miTTi ka bana nikla
phulon mein 'hilal' aao ab raqs-e-KHizan dekhen
kanTon ke nagar mein to har bagh hara nikla
Ghazal
Hum KHud bhi hue nadim jab harf-e-dua nikla
Hilal Fareed