اردو हिंदी
Hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete | Shaahi Shayari
hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete

Ghazal

Hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete

Ahmad Nadeem Qasmi

;

hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete
dil ki tahzib ko tohmat nahin banne dete

lab hi lab hai to kabhi aur kabhi chashm hi chashm
naqsh tere teri surat nahin banne dete

ye sitare jo chamakte hain pas-e-abr-e-siyah
tere gham ko meri aadat nahin banne dete

un ki jannat bhi koi dasht-e-bala hi hogi
zinda rahne ko jo lazzat nahin banne dete

dost jo dard baTate hain wo nadani mein
dar-haqiqat meri sirat nahin banne dete

fikr fan ke liye lazim magar achchhe shaer
apne fan ko kabhi hikmat nahin banne dete

wo mohabbat ka talluq ho ki nafrat ka 'nadim'
rabte zist ko KHalwat nahin banne dete