ham-jins agar mile na koi aasman par
behtar hai KHak Daliye aisi uDan par
aa kar gira tha koi parinda lahu mein tar
taswir apni chhoD gaya hai chaTan par
puchho samundaron se kabhi KHak ka pata
dekho hawa ka naqsh kabhi baadban par
yaro main is nazar ki bulandi ko kya karun
saya bhi apna dekhta hun aasman par
kitne hi zaKHm hain mere ek zaKHm mein chhupe
kitne hi tir aane lage ek nishan par
jal-thal hui tamam zamin aas-pas ki
pani ki bund bhi na giri saeban par
malbus KHush-numa hain magar jism khokhle
chhilke saje hon jaise phalon ki dukan par
saya nahin tha nind ka aankhon mein dur tak
bikhre the raushni ke nagin aasman par
haq baat aa ke ruk si gai thi kabhi 'shakeb'
chhaale paDe hue hain abhi tak zaban par

Ghazal
Ham-jins agar mile na koi aasman par
Shakeb Jalali