hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha
aapas mein bas ek purana TuTa-phuTa rishta tha
dil ki diwaron pe hum ne aaj bhi silan dekhi hai
jaane kab aankhen roi thin jaane kab baadal barsa tha
KHwab-nagar tak aate aate TuT gae hum jaise log
unchi nichi rah bahut thi sara rasta kachcha tha
pura baadal puri barish mausam pure zor pe tha
sab ke saron pe chhat rakkhi thi main hi akela bhiga tha
apni zat ke sare KHufiya raste us par khol diye
jaane kis aalam mein us ne haal hamara puchha tha
us ka milna dhul-bhare mausam mein bundon jaisa tha
sabza ban kar phuT raha hai jo bhi andar sukha tha
us ki yaad ke sare miThe phal toton ne katar liye
yun to hum ne chaaron kone shor machae rakkha tha
Ghazal
Hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha
Zubair Rizvi