hum apne dukh ko gane lag gae hain
magar is mein zamane lag gae hain
kisi ki tarbiyat ka hai karishma
ye aansu muskurane lag gae hain
kahani ruKH badalna chahti hai
nae kirdar aane lag gae hain
ye hasil hai meri KHamoshiyon ka
ki patthar aazmane lag gae hain
jinhen hum manzilon tak le ke aae
wahi rasta batane lag gae hain
sharafat rang dikhlati hai 'danish'
sabhi dushman Thikane lag gae hain
Ghazal
Hum apne dukh ko gane lag gae hain
Madan Mohan Danish