hum apna jo qissa sunane lage
wo bole ki phir sar phirane lage
kaha tha uTha parda-e-sharm ko
wo ulTa hamin ko uThane lage
zara dekhiye un ki sannaiyan
mujhe dekh kar munh banane lage
kaha main ne mil ya mujhe mar Dal
wo jhaT aastinen chaDhane lage
mujhe aate dekha jun hi dur se
qadam-war jaldi uThane lage
uThe wo to ek hashr barpa kiya
jo baiThe to fitna uThane lage
ghiza gham mein thi meri KHun-e-jigar
ab aada ka bhi rashk khane lage
kamal-e-tashshuq nahin hai hunuz
abhi se wo munh ko chhupane lage
KHafa ho ke jab be-bulae gaya
mujhe dekh kar muskurane lage
ghanimat hai itna to uTTha hijab
ki ab KHwab mein bhi wo aane lage
wo dil ke uDane se waqif na the
hamin to ye ghaten batane lage
magar un pe raaz-e-mohabbat khula
jo 'majruh' se bach ke jaane lage
Ghazal
Hum apna jo qissa sunane lage
Meer Mehdi Majrooh