hal hi na ho jis ka wo muamma to nahin hai
maktub-e-azal harf-e-tamanna to nahin hai
dil hi ki KHudai hai yahan aaj bhi ai dost
paband-e-nazar kaif ki duniya to nahin hai
be-bahra-e-irfan-e-mohabbat hai azal se
socha hai tujhe aql ne dekha to nahin hai
andoh ba-daman na ho KHud mauj-tarannum
aawaz ka har shoabada naghma to nahin hai
har rah nazar aane lage mujh ko rah-e-rast
be-rah-rawi tera ye mansha to nahin hai
gham kya agar aazad-e-musalsal hai meri zist
minnat-kash-e-ejaz-e-masiha to nahin hai
'yaqub' sunana hai mujhe dil ki zaban mein
afsane ka pahlu koi tishna to nahin hai

Ghazal
Hal hi na ho jis ka wo muamma to nahin hai
Yaqoob Usmani