hai tanhai mein bahna aansuon ka
sabab chehron ki in shadabiyon ka
ba-zahir main bhi KHush aur tu bhi masrur
magar dekhe koi aalam dilon ka
wafa parchhain ki andhi parastish
mohabbat nam hai mahrumiyon ka
hai apni zindagi jitna purana
talluq aankh se viraniyon ka
har ek chehre pe hai tahrir gham ki
zaruri to nahin khulna labon ka
ye main hun ya koi masum bachcha
taaqub kar raha hai titliyon ka
'kamal' ab KHud bhaTakta phir raha hai
tamannai tha uDti KHushbuon ka
Ghazal
Hai tanhai mein bahna aansuon ka
Hasan Akbar Kamal