اردو हिंदी
Hai inhin do namon se har ek afsane ka nam | Shaahi Shayari
hai inhin do namon se har ek afsane ka nam

Ghazal

Hai inhin do namon se har ek afsane ka nam

Kaleem Aajiz

;

hai inhin do namon se har ek afsane ka nam
ek tera nam hai ek tere diwane ka nam

tujh se raushan hai charagh-e-mahfil-e-dar-o-rasan
mujh se bhi is daur mein zinda hai parwane ka nam

teri zulf-o-chashm-o-lab ka nam hai meri ghazal
tera andaz-e-suKHan mere ghazal gane ka nam

chal usi andaz se han chal usi andaz se
shoKHi-e-baad-e-saba hai tere iThlane ka nam

mauj-e-KHushbu-e-ghazal be-rangi-e-ru-e-ghazal
ek tere aane ka hai nam ek tere jaane ka nam

zinda-e-jawed meri shairi ne kar diya
nam tere gesuon ka aur mere shane ka nam

phul toDe koi patthar hum ko mara jae hai
tu ne itna kar diya badnam diwane ka nam

hum hain 'ajiz' aabru-e-bazm-e-yaran-e-ghazal
ab isi aaine se hai aaina-KHane ka nam