hai dil ko jo yaad aai falak-e-pir kisi ki
aankhon ke tale phirti hai taswir kisi ki
girya bhi hai nala bhi hai aur aah-o-fughan bhi
par dil mein hui us ke na tasir kisi ki
hath aae hai kya KHak tere KHak-e-kaf-e-pa
jab tak ki na qismat mein ho iksir kisi ki
yaro wo hai bigDa hua baaten na banao
kuchh pesh nahin jaane ki taqrir kisi ki
nazan na ho munim ki jahan tera mahal hai
howegi yahan pahle bhi tamir kisi ki
meri girah-e-dil na khuli hai na khulegi
jab tak na khule zulf-e-girah-gir kisi ki
aata bhi agar hai to wo phir jae hai ulTa
jis waqt ulaT jae hai taqdir kisi ki
is abru o mizhgan se 'zafar' tez ziyaada
KHanjar na kisi ka hai na shamshir kisi ki
jo dil se udhar jae nazar dil ho giraftar
mujrim ho koi aur ho taqsir kisi ki
Ghazal
Hai dil ko jo yaad aai falak-e-pir kisi ki
Bahadur Shah Zafar