اردو हिंदी
Hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka | Shaahi Shayari
hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka

Ghazal

Hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka

Ismail Merathi

;

hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka
mahram nahin hai gosh magar is payam ka

KHush hai malamat ahl-e-KHarabaat kai liye
is silsile mein nam nahin nang-o-nam ka

naKHwat hai jis ke kasa-e-sar mein bhari hui
kab mustahiq hai mahfil rindan mein jam ka

jagir-e-dard par hamein sarkar-e-ishq ne
tahrir kar diya hai wasiqa dawam ka

wadi-e-ishq mein na mila koi ham-safar
sunte the nam KHizr alaihis-salam ka

aasudgi na DhunD ki jata hai karwan
le mustaar barq se waqfa qayam ka

khola hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaz ne
ye puKHtagi sila hai KHayalat-e-KHam ka

khata nahin fareb-e-tamanna-e-do-jahan
KHugar nahin hai tausan-e-himmat lagam ka

mat rakh tama se chashm-e-tamatto ki hai yahan
dana har ek mardumak-e-dida-dam ka

pahuncha diya hudud-e-do-alam se bhi pare
mutrib ne rag chheD diya kis maqam ka

zulmat mein kya tamiz safed-o-siyah ki
furqat mein kuchh hisab nahin subh-o-sham ka

jis ki nazar hai sanat-e-abru-nigar par
hai wo qatil-e-tegh na kushta niyam ka

khane ko ai haris gham-e-ishq kam nahin
ye ho to kuchh bhi fikr na kar qarz-o-wam ka

main be-qarar-e-manzil-e-maqsud be-nishan
raste ki intiha na Thikana maqam ka

gar dekhiye to KHatir-e-nashad shad hai
sach puchhiye to hai dil-e-nakaam kaam ka

uTThe teri naqab to uTh jae ek bar
sab tafraqa ye roz-o-shab-o-subh-o-sham ka