hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai 
kahin karobar si dopahr kahin bad-mizaj si sham hai 
yunhi roz milne ki aarzu baDi rakh-rakhaw ki guftugu 
ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai 
kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten 
ye mutalbon ka KHulus hai ye zaruraton ka salam hai 
wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga 
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai 
na udas ho na malal kar kisi baat ka na KHayal kar 
kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai 
koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa 
zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai
 
        Ghazal
Hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
Bashir Badr

