hath nikle apne donon kaam ke
dil ko thama un ka daman tham ke
ghunT pi kar baada-e-gulfam ke
bose le leta hun KHali jam ke
raat din phirta hai kyun ai charKH-e-pir
tere din hain rahat o aaram ke
is nazakat ka bura ho bazm se
uThte hain wo dast-e-dushman tham ke
chashm-e-mast-e-yar ki ek dhum hai
aaj kal hain daur daur-e-jam ke
ya jigar mein ya rahega dil mein tir
ye hi do goshe to hain aaram ke
wo karen uzr-e-wafa achchhi kahi
mujh pe radde rakhte hain ilzam ke
jab qadam kabe se rakkha su-e-dair
tar uljhe jama-e-ehram ke
KHush hain wo daur-e-falak se aaj kal
din phire hain gardish-e-ayyam ke
aa gaya hai bhul kar KHat is taraf
wo to aashiq hain mere hamnam ke
hath se sayyaad ke gir kar chhuri
kaT gae halqe hamare dam ke
qasidon ke muntazir rahne lage
paD gae un ko maze paigham ke
kya kisi dargah mein jaana hai aaj
subh se saman hain hammam ke
puchhte hain hazrat-e-zahid se rind
dam kya hain jama-e-ehram ke
lab utar aae hain wo tarif par
hum jo aadi ho gae dushnam ke
dawa-e-ishq-o-wafa par ye kaha
sab baja lekin mere kis kaam ke
ban-sanwar kar kab bigaDta hai banao
subh tak rahte hain jalwe sham ke
jaur se ya lutf se pura kiya
aap pichhe paD gae jis kaam ke
hai gada-e-mai-kada bhi kya haris
bhar liye jholi mein TukDe jam ke
nala o fariyaad ki taqat kahan
baat karta hun kaleja tham ke
KHugar-e-bedad ko rahat hai maut
bhagta hun nam se aaram ke
'dagh' ke sab harf likhte hain juda
TukDe kar Dale hamare nam ke
Ghazal
Hath nikle apne donon kaam ke
Dagh Dehlvi