han ijazat hai agar koi kahani aur hai
in kaToron mein abhi thoDa sa pani aur hai
mazhabi mazdur sab baiThe hain in ko kaam do
ek imarat shahr mein kafi purani aur hai
KHamushi kab chiKH ban jae kise malum hai
zulm kar lo jab talak ye be-zabani aur hai
KHushk patte aankh mein chubhte hain kanTon ki tarah
dasht mein phirna alag hai baghbani aur hai
phir wahi uktahaTen hongi badan chaupal mein
umr ke qisse mein thoDi si jawani aur hai
bas isi ehsas ki shiddat ne buDha kar diya
TuTe-phuTe ghar mein ek laDki siyani aur hai
Ghazal
Han ijazat hai agar koi kahani aur hai
Munawwar Rana