hami bhi na the munkir-e-'ghaalib' bhi nahin the
hum ahl-e-tazabzub kisi jaanib bhi nahin the
is bar bhi duniya ne hadaf hum ko banaya
is bar to hum shah ke musahib bhi nahin the
bech aae sar-e-qarya-e-zar jauhar-e-pindar
jo dam mile aise munasib bhi nahin the
miTTi ki mohabbat mein hum aashufta-saron ne
wo qarz utare hain ki wajib bhi nahin the
lau deti hui raat suKHan karta hua din
sab us ke liye jis se muKHatib bhi nahin the
Ghazal
Hami bhi na the munkir-e-ghaalib bhi nahin the
Iftikhar Arif