اردو हिंदी
Gunjta shahron mein tanhai ka sannaTa to hai | Shaahi Shayari
gunjta shahron mein tanhai ka sannaTa to hai

Ghazal

Gunjta shahron mein tanhai ka sannaTa to hai

Baqar Mehdi

;

gunjta shahron mein tanhai ka sannaTa to hai
be-kasi ka ham-nawa ab tak wahi saya to hai

TuTti jati hain ummidon ki zanjiren magar
Thokaren khane ko majburi ka ek sahra to hai

chand kya niklega KHwabon ki andheri raat hai
dur tak tara KHayalon ka magar chamka to hai

buDhe sarkash zar-gari mein rahzanon ke sath hain
inqalab-e-nau ka wo pindar ab TuTa to hai

in KHatibon ka tilism-e-lan-tarani toD de
is hujum-e-be-nawayan mein koi aisa to hai

qissa-e-adam ki talKHi zindagi ke sath hai
jannaten lakhon bana kar aadmi tanha to hai

shor hai Dubin hazaron azmaten tariKH ki
kitni KHamoshi se bahta waqt ka dhaara to hai

muskura kar zer-e-lab shayad yahi kahte hain wo
lakh saudai sahi 'baqar' magar apna to hai