gurezan tha magar aisa nahin tha
ye mera ham-safar aisa nahin tha
yahan mehman bhi aate the hawa bhi
bahut pahle ye ghar aisa nahin tha
yahan kuchh log the un ki mahak thi
kabhi ye rahguzar aisa nahin tha
raha karta tha jab wo is makan mein
to rang-e-baam-o-dar aisa nahin tha
bas ek dhun thi nibha jaane ki us ko
ganwane mein zarar aisa nahin tha
mujhe to KHwab hi lagta hai ab tak
wo kya tha wo agar aisa nahin tha
paDegi dekhni diwar bhi ab
ki ye sauda-e-sar aisa nahin tha
KHabar lun ja ke us isa-nafs ki
wo mujh se be-KHabar aisa nahin tha
na jaane kya hua hai kuchh dinon se
ki main ai chashm-e-tar aisa nahin tha
yun hi nimTa diya hai jis ko tu ne
wo qissa muKHtasar aisa nahin tha
Ghazal
Gurezan tha magar aisa nahin tha
Abrar Ahmad