gulzar mein jo dur gul-e-lala-rang ho
wo be-hijabiyan hon ki nargis bhi dang ho
sayyaad o baghban mein bahut hoti hai salah
aisa na ho kahin gul o bulbul mein jang ho
afsos maut bhi nahin aati shab-e-firaq
wo kya kare gharib jo jine se tang ho
kafi hai boriya hi faqiron ke waste
mayub hai jo sheron ke ghar mein palang ho
laDne ko dil jo chahe to aankhen laDaiye
ho jang bhi agar to mazedar jang ho
jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua
dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho
koi mare kisi ko KHushi ho KHuda ki shan
matam kisi jagah ho kahin nach-rang ho
Ghazal
Gulzar mein jo dur gul-e-lala-rang ho
Lala Madhav Ram Jauhar