اردو हिंदी
Gulzar mein ek phul bhi KHandan to nahin hai | Shaahi Shayari
gulzar mein ek phul bhi KHandan to nahin hai

Ghazal

Gulzar mein ek phul bhi KHandan to nahin hai

Fazil Ansari

;

gulzar mein ek phul bhi KHandan to nahin hai
kuchh aur hai ye daur-e-bahaaran to nahin hai

hai chaak-ba-daman hi tu ai lala-e-KHud-sar
gul teri tarah dagh-ba-daman to nahin hai

achchha hi hua Dub gaya mera safina
ab kashmakash-e-sahil-o-tufan to nahin hai

taqdir ki baat aur hai warna dil-e-muztar
ummid ke bar aane ka imkan to nahin hai

is bar-e-garan ka hai uThana bahut aasan
gham hai kisi kam-zarf ka ehsan to nahin hai

pamal kare kyun koi be-dard ki sabza
begana sahi nang-e-gulistan to nahin hai

qimat mere aansu ki faqat ek tabassum
shabnam ki tarah ye koi arzan to nahin hai

kyun mujh pe nazar hai teri ai gardish-e-dauran
hasti meri duniya mein numayan to nahin hai

kuchh dagh hain kuchh zaKHm hain 'fazil' ke jigar mein
muflis hai magar be-sar-o-saman to nahin hai