gulzar hai daghon se yahan tan-badan apna
kuchh KHauf KHizan ka nahin rakhta chaman apna
ashkon ke tasalsul ne chhupaya tan-e-uryan
ye aab-e-rawan ka hai naya pairahan apna
kis tarah bane aise se insaf to hai shart
ye waza meri dekho wo dekho chalan apna
inkar nahin aap ke ghar chalne se mujh ko
main chalne ko maujud jo chhoDo chalan apna
maskan ka pata KHana-ba-doshon se na puchho
jis ja pe ki bas gir rahe wo hai watan apna
Ghazal
Gulzar hai daghon se yahan tan-badan apna
Nazeer Akbarabadi