gulshan mein junun ka mujhe saman nazar aaya
jo phul khila chaak-gareban nazar aaya
har shai mein tera husn-e-daraKHshan nazar aaya
jis chiz ko dekha mah-e-taban nazar aaya
jis ne use dekha wo giraftar-e-bala tha
taswir ka aaina bhi hairan nazar aaya
yarab koi had bhi hai pareshan-nazar ki
furqat mein chaman mujh ko bayaban nazar aaya
gulshan mein khile gul to hawa chal gai aisi
sabit na kisi ka bhi gareban nazar aaya
aaine mein kya dekh liya kaun batae
zulfon ki tarah KHud wo pareshan nazar aaya
phir tur pe jaane ki zarurat hamein kya thi
jab aankh uThi jalwa-e-jaanan nazar aaya
tasir nai fasl-e-bahaaran mein ye dekhi
daman ki jagah hum ko gareban nazar aaya
ai ishq bahut tu ne to dekha hai zamana
mujh sa bhi koi be-sar-o-saman nazar aaya
hai husn ki sarkar mein tausif wafa ki
wo kahte hain 'shankar' hamein insan nazar aaya

Ghazal
Gulshan mein junun ka mujhe saman nazar aaya
Shankar Lal Shankar