gul rahe nahin nam ko sarkash hain KHaran al-ayaz
khaTke hai aankhon mein ye suna gulistan al-ayaz
KHak sar par kar bagule se gham-e-majnun mein hae
phaDta hai daman-e-sahra gareban al-ayaz
bas-ki har kanTe se dil chhed ek bulbul mar rahe
ho gaya gulshan KHizan mein bulbulistan al-ayaz
Dalte hain ahl-e-duniya KHeme ab sahra ke bich
faut-e-majnun se hai be-waris bayaban al-ayaz
nikle hai jeb-e-junun-e-subh se jun aaftab
dagh hai chaakon se uzlat ka gareban al-ayaz

Ghazal
Gul rahe nahin nam ko sarkash hain Khaaran al-ayaz
Wali Uzlat