guftugu achchhi lagi zauq-e-nazar achchha laga
muddaton ke baad koi ham-safar achchha laga
dil ka dukh jaana to dil ka masala hai par hamein
us ka hans dena hamare haal par achchha laga
har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bawajud
aaj wo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga
baghban gulchin ko chahe jo kahe hum ko to phul
shaKH se baDh kar kaf-e-dildar par achchha laga
koi maqtal mein na pahuncha kaun zalim tha jise
tegh-e-qatil se ziyaada apna sar achchha laga
hum bhi qael hain wafa mein ustuwari ke magar
koi puchhe kaun kis ko umr bhar achchha laga
apni apni chahaten hain log ab jo bhi kahen
ek pari-paikar ko ek aashufta-sar achchha laga
'mir' ke manind aksar zist karta tha 'faraaz'
tha to wo diwana sa shair magar achchha laga
Ghazal
Guftugu achchhi lagi zauq-e-nazar achchha laga
Ahmad Faraz