gudaz-e-dil se parwana hua KHak
jiya be-soz mein to kya jiya KHak
kisi ke KHun-e-nahaq ki hai surKHi
rangengi dast-e-qatil ko hina KHak
nigah mein sharm ke badle hai shoKHi
khule phir raat ka kya majra KHak
labon tak aa nahin sakta to phir main
kahun kya apne dil ka muddaa KHak
bulandi se hai us ki Dar ki ek roz
karegi aashiyan barq-e-bala KHak
na dekha jin ka chehra gard-alud
paDi hai un pe ab be-intiha KHak
bayaban mein phira karte hain 'shaida'
haqiqat mein hai ulfat ki dawa KHak
Ghazal
Gudaz-e-dil se parwana hua KHak
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida