ghubar-e-abr ban gaya kamal kar diya gaya
hari-bhari ruton ko meri shaal kar diya gaya
qadam qadam pe kasa le ke zindagi thi rah mein
so jo bhi apne pas tha nikal kar diya gaya
main zaKHm zaKHm ho gaya lahu wafa ko ro gaya
laDai chhiD gai to mujh ko Dhaal kar diya gaya
gulab-rut ki dewiyan nagar gulab kar gain
main surKH-ru hua use bhi lal kar diya gaya
tu aa ke mujh ko dekh to ghubar ke hisar mein
tere firaq mein ajib haal kar diya gaya
wo zahr hai fazaon mein ki aadmi ki baat kya
hawa ka sans lena bhi muhaal kar diya gaya
Ghazal
Ghubar-e-abr ban gaya kamal kar diya gaya
Ahmad Khayal