girafta-dil hain bahut aaj tere diwane
KHuda kare koi tere siwa na pahchane
miTi miTi si umiden thake thake se KHayal
bujhe bujhe se nigahon mein gham ke afsane
hazar shukr ki hum ne zaban se kuchh na kaha
ye aur baat ki puchha na ahl-e-duniya ne
ba-qadr-e-tishna-labi pursish-e-wafa na hui
chhalak ke rah gae teri nazar ke paimane
KHayal aa gaya manus rahguzaron ka
palaT ke aa gae manzil se tere diwane
kahan hai tu ki tere intizar mein ai dost
tamam raat sulagte hain dil ke virane
umid-e-pursish-e-gham kis se kijiye 'nasir'
jo apne dil pe guzarti hai koi kya jaane
Ghazal
Girafta-dil hain bahut aaj tere diwane
Nasir Kazmi