ghuTan si hone lagi us ke pas jate hue
main KHud se ruTh gaya hun use manate hue
ye zaKHm zaKHm manazir lahu lahu chehre
kahan chale gae wo log hanste gate hue
na jaane KHatm hui kab hamari aazadi
talluqat ki pabandiyan nibhate hue
hai ab bhi bistar-e-jaan par tere badan ki shikan
main KHud hi miTne laga hun use miTate hue
tumhaare aane ki ummid bar nahin aati
main rakh hone laga hun diye jalate hue
Ghazal
GhuTan si hone lagi uske pas jate hue
Azhar Iqbal