ghirte baadal mein tanhai kaisi lagti hai 
milan ka mausam aur judai kaisi lagti hai 
sune man ke taron se jab baaten hoti hon 
duje aangan ki shahnai kaisi lagti hai 
dil ki choT ubhar aae aur zaKHm hare ho jaen 
yaadon ki chalti purwai kaisi lagti hai 
tum ko shahr-e-KHayal mein rahna kaisa lagta hai 
wo basti jo dil ne basai kaisi lagti hai 
chaDhte rup ki suraj dewta aur bhi man baDhaen 
dhundli aankhon ki binai kaisi lagti hai 
jag bite jab jagmag ye dil us ki jot se tha 
ab jo wo surat phir yaad aai kaisi lagti hai 
dil to apna bhar bhar aae niyyat nahin bhare 
umr ka hasil aisi kamai kaisi lagti hai 
bachpan aur jawani buDhi umr ke dar pe hain 
tinon zamanon ki yakjai kaisi lagti hai 
'baqar' sari umr guzari ku-e-malamat mein 
aaKHir umr ki ye ruswai kaisi lagti hai
        Ghazal
Ghirte baadal mein tanhai kaisi lagti hai
Sajjad Baqar Rizvi

