ghera Dale hue hai dushman bachne ke aasar kahan
KHali hath khaDe ho 'pashi' rakh aae talwar kahan
kyun logon se mehr-o-wafa ki aas lagae baiThe ho
jhuT ke is makruh nagar mein logon ka kirdar kahan
kya hasrat se dekh rahe hain hamein ye jagmag se sahil
hae hamare hathon se bhi chhuTe hain patwar kahan
KHatm hua har KHwab-e-tamasha rakh hua har shahr-e-sada
dasht hai har su tanhai ka hue hain hum bedar kahan
dur dur tak koi nahin ab tujhe bacha le jo aa kar
dad to de dushman ko 'pashi'! kiya hai us ne war kahan
Ghazal
Ghera Dale hue hai dushman bachne ke aasar kahan
Kumar Pashi