gharon mein sabza chhaton par gul-e-sahab liye
hawaen phail gain naqsh-o-rang-e-ab liye
shab-e-siyah Dhali subh aashkar hui
jabin pe zaKHm liye hath mein gulab liye
main ek Dhalta sa saya zamin ke qadmon mein
tu DhunDne mujhe nikla hai aaftab liye
guzar gaya koi pahchanta hua mujh ko
purani yaadon ki shamen pas-e-naqab liye
bikhar ke jata kahan tak ki main to KHushbu tha
hawa chali thi mujhe apne ham-rikab liye
ubhar rahe hain kai hath shab ke parde se
koi sitara liye koi mahtab liye
hawaen phirti hain raston mein baal khole hue
ye raat sar pe khaDi hai koi azab liye
ajab nahin kahin tabir koi mil jae
bhaTak raha hun girah mein hujum-e-KHwab liye
Ghazal
Gharon mein sabza chhaton par gul-e-sahab liye
Nazeer Qaisar