ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai
ab koi rah dikha de ki kidhar jaana hai
jism se sath nibhane ki mat ummid rakho
is musafir ko to raste mein Thahar jaana hai
maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukar
main yahi soch ke zinda hun ki mar jaana hai
nashsha aisa tha ki mai-KHane ko duniya samjha
hosh aaya to KHayal aaya ki ghar jaana hai
mere jazbe ki baDi qadr hai logon mein magar
mere jazbe ko mere sath hi mar jaana hai
Ghazal
Ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai
Rahat Indori