ghar se nikle to ho socha bhi kidhar jaoge
har taraf tez hawaen hain bikhar jaoge
itna aasan nahin lafzon pe bharosa karna
ghar ki dahliz pukaregi jidhar jaoge
sham hote hi simaT jaenge sare raste
bahte dariya se jahan hoge Thahar jaoge
har nae shahr mein kuchh raaten kaDi hoti hain
chhat se diwaren juda hongi to Dar jaoge
pahle har chiz nazar aaegi be-mani si
aur phir apni hi nazron se utar jaoge
Ghazal
Ghar se nikle to ho socha bhi kidhar jaoge
Nida Fazli