اردو हिंदी
Ghar lauTte hain jab bhi koi yar ganwa kar | Shaahi Shayari
ghar lauTte hain jab bhi koi yar ganwa kar

Ghazal

Ghar lauTte hain jab bhi koi yar ganwa kar

Hasan Abbas Raza

;

ghar lauTte hain jab bhi koi yar ganwa kar
ro lete hain ham-zad ko sine se laga kar

kis ko thi KHabar is mein taDaKH jaega dil bhi
hum KHush the bahut sehn mein diwar uTha kar

kuchh aur bhi baDh jati hain hairaniyan dil ki
sau bar kaha hai ki na aaina taka kar

sawan mein to KHud-sozi bhi ho jati hai nakaam
rela sa guzar jata hai sab azm bujha kar

main tark-e-talluq pe bhi aamada hun lekin
tu bhi to mera qarz-e-gham-e-hijr ada kar

ye tai hai ki ab hum ne nahin milna dobara
ye baat magar aur kisi se na kaha kar

is kar-e-mohabbat mein to hota hai KHasara
ai sahab-e-zar tu ye tijarat na kya kar

ek shahad sa ghulta chala jata hai dahan mein
leta hun main jab sans teri sans mila kar