ghar hai wahshat-KHez aur basti ujaD
ho gai ek ek ghaDi tujh bin pahaD
aaj tak qasar-e-amal hai na-tamam
bandh chuki hai bar-ha khul khul ke paD
hai pahunchna apna choTi tak muhaal
ai talab nikla bahut uncha pahaD
khelna aata hai hum ko bhi shikar
par nahin zahid koi TaTTi ki aaD
dil nahin raushan to hain kis kaam ke
sau shabistan mein agar raushan hain jhaD
id aur nauroz hai sab dil ke sath
dil nahin hazir to duniya hai ujaD
khet raste par hai aur rah-rau sawar
kisht hai sarsabz aur nichi hai baD
baat waiz ki koi pakDi gai
in dinon kam-tar hai kuchh hum par lataD
tum ne 'haali' khol kar nahaq zaban
kar liya sari KHudai se bigaD
Ghazal
Ghar hai wahshat-KHez aur basti ujaD
Altaf Hussain Hali