ghaDi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera
usi hasti pe us gulshan mein tha ye shor-o-shar mera
nizam-e-bazm-e-duniya hashr ke maidan ka naqsha hai
yahi hai shamat-e-isyan bhaTakna dar-ba-dar mera
samajhta hun wasila maghfirat ka sharm-e-isyan ko
ki ashkon se mere dhul jaega daman-e-tar mera
faza-e-kaba-e-athar ka naqsha aankh se dekhun
ilahi is hawa mein KHushk ho daman-e-tar mera
dar-e-kaba pe jab sajde kiye aawaz ye aai
buton ki Thokaren kha kar tujhe sujha hai ghar mera
naqab-e-husn jab uTTha to aankhen khul gain meri
farogh-e-husn tha dam-bhar ko manind-e-sharar mera
use parde mein rah kar bhi KHayal aata hai rah rah kar
ki raaz ifsha na kar de KHalq mein husn-e-bashar mera
guzar kar KHana-e-dil se baDhun kyun tur ki jaanib
ki barq-e-husn se jalne ko hai maujud ghar mera
sanam qadmon pe girte hain zabanen band rahti hain
buton par roab hai allahu-akbar is qadar mera
mohabbat ki har ek manzil pe sahra-e-adam nikla
KHizar bhi sath de sakte nahin har gam par mera
farishte bhi na samjhe aaj tak meri haqiqat ko
ki taj-e-ashraf-e-maKHluq ki zinat hai sar mera
zaban par zikr jari tha barabar hamd-e-KHaliq ka
azal mein kaam Thahra midhat-e-KHairul-bashar mera
zaban-e-shama main ne kaT li hai bad-guman ho kar
ki raaz ifsha na kar de subh ko sham-e-sahar mera
meri hasti se pahle kaun samjha sirr-e-wahdat ko
rahega tazkira dair-o-haram mein umr-bhar mera
wo qatra hun ki jis ki mauj mein bahr-e-haqiqat hai
wo zarra hun ki munh takte hain KHurshid-o-qamar mera
dil-e-majruh ki haalat pe rahm aaya masiha ko
dawa ke nam par hansne laga zaKHm-e-jigar mera
zara pine to de saqi sharab-e-marifat mujh ko
udhar phir jaega qibla bhi ruKH hoga jidhar mera
sada-e-kalematul-haq mein teri tahrik shamil hai
anal-haq kahta hai har qatra-e-KHun-e-jigar mera
yahi surat hai ab taqdir ke chakkar nikalne ki
ilahi aastana ho haram ka aur sar mera
tujhe ai charKH kya malum rutba dard-e-ulfat ka
karega nam raushan KHalq mein dagh-e-jigar mera
tamanna hai ki 'rasiKH' hamd-goi ke wasile se
riyaz-e-dahr mein naKHl-e-suKHan ho bar-war mera

Ghazal
GhaDi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera
Mohammad Yusuf Rasikh